The world we have created is a product of our thinking; it cannot be changed without changing our thinking. -Albert Einstein

Friday 1 July 2011

yatharth....


Dil ke kono mein,zehan ke adharo mein,
Ek aisa aaishiyaana hai,
Jahan na toh koi bandhan hai, na samaaj ki paini nazroon ka nishana hai
na koi bhed hai aur nahi koi paimana hai...

Woh gulistann kuch aisa niraala hai,
ki dharatal par taar-taar hote rishtoon ko milta,sagar ka kinara hai...

Rishtoon ki garima toh dekho,Khel bada hi bemana hai,
Jinhe samajhta yeh alhad mann phasana hai,
wahi rishtey,kache dhagoon ka buna nazraana hai...

Lobh,kapat,ahem,irshya,dvesh,aaj yehi sab asliyat mein rishtoon ko pharmana hai
Rishtoon mein purani garmahat ki chah,bhale hi bhoola tarana hai,
par is pagal hridaye ko kaun samjhaye?
isse toh baar-baar na chahte hue bhi,mithya rishtoon ki bhawar mein phas jaana hai....!!

No comments:

Post a Comment