The world we have created is a product of our thinking; it cannot be changed without changing our thinking. -Albert Einstein

Monday 3 October 2011

Uljhan


Kya bataoon tumhe,kya sunaoon tumhe?
Kaise boloon  apne dil ki baat, mere lafzoon ki  tapish pheeki jo pad jaati hai tumhare intezaaz mein
Kaise samjhaoon tumhe,kaise manaoon tumhe?
Mere saasein  tham si jo jaati hain,tumhare ek dedaar se
Kis bahane se, kaise jataoon tumhe?
Meri dil ki dhadkan kaise badh si  jati hai tumhare ishq ke ajab andaaz se
Kya  bayan karoon, kaise dikhaoon tumhe?
Baharo mein kaliyaan aur mere chehre ki muskaan  kaise khil si jaati hai tumhare bas ek khayaal se
Kya mangoon tumse,kya poochoon tumhe?
Meri  sooni zindagi mein ujala  bhar dene wale,tere jaadu ka mujhpar kaisa asar pada hai….
Kya baton tumhe,kya sunao tumhe???....







No comments:

Post a Comment