The world we have created is a product of our thinking; it cannot be changed without changing our thinking. -Albert Einstein

Tuesday 16 August 2011

Kuch khona kuch paana chalta rehta hai,sasoon ka afsaana chalta rehta hai....

Yeh bekhauf behti hawayein
mujhe kuch is tarah chu jayen,
ke patto ki sarsarahat mein bhi ,tera hi zikr sunayi de jaye....

Yeh taroon ki timtimati roshini
meri naino mein kuch yoon samaye
ki in dhundhali ankhoon mein bhi,teri hi tasveer nazar aaye....

Yeh khusname fizayein,tere,mere kareeb hone ke ehsaas ke jaise
mere tan ko is kadar gudgudaye,
ki badrang saman bhi,rangeen nazraano mein tabdeel ho jaye.....

Yeh bhini mehek,tere madhosh kardeni wali awaaz saman
mere jism ko kuch yoon sihraye
ki har lamha tera saaya meri rooh ko ek ajeeb sa chain pauhchaye...

Un palo ki yaadoon ko qalb maine aaj bhi kuch is tarah saja ke rakha hai,
ki mana tu mere mukaddar mein nahi
par mere zehen mein teri majboot yaadon ka gharondoon  dekh
mera mukaddar bhi sharma jaye...!!!




No comments:

Post a Comment