Maloom na tha,zindagi ek aisi uljhi paheli hai,
achue,anjaani rahein,aaj meri saheli hain
Palne se lekar,khiloono tak,
Kachi sadko par kanche khelne se lekar kitaboon tak,
Samay ret samaan kab phisal gaya,kuch pata hi na chala...
Aaj naseeb itni aage,itni door le aaya,ki apne bhi ab ajnabi lagte hain
Kuch dino tak jo nanhi ungliyaan kisi na kisi ke haathoon mein rehti thi,
wohi ungliyaan,kab apni narmi chod,sakht ho gayi,kuch pata hi na chala....
Jo nazrein,har pal kisi ke sahare ki aas dekhti rehti thi,
wohi nazrein, aaj itni tez ho gayi,ki khud ki manzillo ko chune ke sapne bunne lagi,kuch pata hi na chala...
Jo hasi pehle kilkariyoon aur maasumiyat se bhari rehti thi,
wohi hasi,aaj logo ko khush karne ki jaddojehad mein,kahan khatm ho gayi,kuch pata hi na chala...
duniya jo pehle itni choti thi,kab itni badi aur kathin ho gayi,kuch pata hi nahi chala.....
No comments:
Post a Comment