Jis tarah sagar ki lehro se chooroon par likhe naam mit jaate hain
tumhe kya laga,usi tarah mere zehen se tumhara naam mit jayega?
jis tarah pathar par lakirein ankit ho jaati hain,
mere hridaye par tumhari chaap usi tarah hai, ki mitana bhi chhaho toh mita na paoge
Tumne mujhse kitni baatein kahin,apne kitne khayaal mujhe sunaye,shayad tumhe woh sab yaad na ho
par mujhe tumhari ek-ek baat,is tarah yaad reh jati hai,jis tarah bhawre ko phoolo ki mehak yaad reh jaati hai
Tumne kaha tha,ki tum mere jiwan mein ek musafir ki tarah ho
par tumhe kya maloom, ki tum un musafiroon mein se ho
jinhe waapsi ka raasta nahi pata
Naseeb ka lekha-jokha toh na main jaanti hoon aur na tum
par itna zaroor maanti hoon,ki tumhari maujoodgi meri zindagi mein jab tak hai,ek sunehre sapne samaan hai
Taqdeer ke khel bade anokhe hote hain,parantu,tumhare mere lamho mein samane ka,niyati ka yeh khel,mujhe bahut pyaara hai.
No comments:
Post a Comment