Ji chahta hai ki un phursat ke paloon ko jhat se samet loon
Maa ke lambe anchal main khud ko aaj phir lappet loon
Haathoon se phisalti ret ke tinko ko rook loon
Kyoon na apne har gam ko law mein jhook doon
Yaadoon ke jharookhoon mein kaid un lamhoon ko phir aazaad kar loon
Pita ke majboot bajuoon ke ehsaas ko phir aabaad kar loon
Bachpan ki us alhadta, maasumiyat ke beejoon ko phir seech loon
Bhaiya se baaji harne ke bawajood bhi usi tarah haar kar bhi jeet loon
Mitti se sane hathoon se diwaroon par phir se who nanhe nishaan chod jaoon
Sabki ankhoon kataara hone ka woh gumaan kyoon na ek bar phir odh loon
Chutpan ki bebaki,us befikri ko phir mehsoos karloon
Hadh se jyada pyare khilauno mein apni jaan ekbaar phir mehfooz kar doon
Choti ankhoon mein tairte un taral sapne ki udaan kyoon na aaj phir mein bhar loon
Nani ke dulaar ko ek baar phir se batoor loon
Un komal haathoon ki narmi ko mein phir wapas khoj loon
Gum si us zindagi ko main kyoon na aaj phir se jee loon......
No comments:
Post a Comment